Wednesday, January 26, 2011

On this Republic day

One of my favorite poems from school.

Tujhe kuch aur bhi doo

Man Samarpit Tan Samarpit
Mera Yah Jeevan Bhi Samarpit
Chahata Hoon Desh Ki Dharti.. Tujhe Kuch Aur bhi Doo..

Maa Tumhara Ehsaan Bohat Hai.. Tumko Naman..
Kintu Itna Sa Hai.. Phir bhi Mera Nivedan..
Thaal Mein Laau Sajaa Kar.. Talwaar Jab Bhi..
Karna Daya.. Swikar Lena Woh Samarpan...

Sammaan Arpit Praan Arpit...
Lahu Ke Karn Karn Samarpit...
Chahata Hoon Desh Ki Dharti.. Tujhe Kuch Aur bhi Doo...

Maa Manj Do Talwar ko.. Laao Naa Karo Deri..
Baandh Do Kas Kar Kamar Par.. Dhaal Meri..
Talwaar Par Laga Do Charan Ki Dhool Thodi..
Aur Mere Sheesh Pe Aashish Ki Chaaya Ho Teri...

Neend Arpit Swapn Arpit...
Mere Umra Ka Har Pal Samarpit...
Chahata Hoon Desh Ki Dharti.. Tujhe Kuch Aur bhi Doo...

Tod-ta Hoon.. Moh Ka Bandhan Shama Do..
Dost Mere.. Kiwaad, Ghar, Aagan Shama Do..
Aaj Daanye Haath Mein Talwar De Do..
Aur Baanye Haath Mein Dhwaj Thama Do...

Khushiya Arpit Aarzoo Bhi Arpit..
Mere Jeevan Ka Har Rang Samarpit...
Chahata Hoon Desh Ki Dharti.. Tujhe Kuch Aur bhi Doo...

Seemaayein Bula Rahi.. Mujhe Jaana Hoga..
Maa Meri.. Dharti Maa Ka Kar Chukaan Hoga...
Muskuraa De Tu.. Aaj Me Dulha Banaa Hoon...
Jung-E-Dulhan Ko Jitne Mujhe Jaana Hoga...

Mandir Arpit.. Masjid Arpit..
Saare Majhab Tujhko Samarpit...
Chahata Hoon Desh Ki Dharti.. Tujhe Kuch Aur bhi Doo...
Tujhe Kuch Aur bhi Doo..

1 comment:

harshit said...

sahi hai....kaunse class ki hindi text book se uthaya hai yeh...poet ka naam bhi likhna tha na...school mein teacher ne yeh nahi sikhaya tujhe ?